Namaz Ka Tarika – Puri Tafseel ke Saath
1. Niyyat (Intention): Dil me niyyat karein ke kaunsi namaz padhni hai, phir haath uthakar takbeer kehain.
2. Takbeer-e-Tahreema: "Allahu Akbar" kehkar haath kandho tak uthayein aur seene par bandh lein.
3. Surah Fatiha aur Surah: Pehle "Bismillah" padhein, fir "Surah Al-Fatiha", uske baad koi aur Surah ya aayat padhein.
4. Ruku: "Allahu Akbar" kehkar Jhuk jayein, dono haath ghutnon par rakhein aur "Subhana Rabbiyal Azeem" 3 martaba padhein.
5. Qaumah: "Sami’Allahu Liman Hamidah" kehkar khade ho jayein aur "Rabbana Lakal Hamd" padhein.
6. Sajdah: "Allahu Akbar" kehkar sajdah karein, dono haath, mathe aur naak zameen par rakhein. "Subhana Rabbiyal A’la" 3 martaba padhein.
7. Jalsa: Pehle sajdah ke baad "Allahu Akbar" kehkar beith jayein, phir dusra sajdah karein.
8. Tashahhud: Akhri qaida me baithkar "Attahiyyatu, Durood Shareef aur Dua" padhein.
9. Salaam: "Assalamu Alaikum wa Rahmatullah" kehkar pehle daayen, phir baayen taraf salam pheri.
✨ Aapki Namaz Mukammal Hui! ✨
Comments
Post a Comment